Jab bhi koi sant, avtar, paigambar baat karte hain, to wo vyaktiyon ki baat nahin karte. Wo us srot ki baat karte hain jo bhinn-bhinn roopon me prakat hota aaya hai. Us nirgun ki or ishaara karte hain jo guno ko dhaaran kar samast jagat ka kalyaan karta aaya hai. Isi sandarbh me Acharya Prashant sang Shri Krishna par hue samvaadon ka sangathan is kitaab me ekatrit kiya gaya hai. Unhone Shreemadbhagwadgita ke kuch shlok va Shri Krishna ke jeevan ke udaahranon se humari jatil jigyasaaon ka saral va seedha samadhan diya hai.